The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Ab Ham Samajh Gaye Hain

 

Mere is biraaney gamkhane mein ab koi

bhi chirag nahin jalta hai 

Mere sabhi asq palkon pe hi rah jaate ye

mera dil hi jaanta hai 

Koi mere dil pe haanth rakh kart oh dekhe

ki ab mera haal kaysa hai 

Who haanth kahan se laawoon jo mere dil

se kahe ki wo waysa ka waysa hai 

Na jaane baat kya haik yon laachar hoon

unhen jis din se khoya hai 

Na hi hansney ki koi chah rahi hai na ham

ne dil khol ke roya hai 

Unki yaad mein jeena unhin par jaan de

dena yahi meri tamanna hai 

Ham ko kuchh kaam aata hai toh wah

unke naam sey aata yahi maana hai 

Unke meethe pyar ke baaton ne mere

jeewan ke raaste ko badal diye thea

Unke madbhari baaton ka lutf uthane tak

wo rooth ke chal diye thea

Lakhan tu ab kahta hai kisi ke kaam na

aaye wo aadmi kya hai

Saroj tujh se kah gai jo apni hi fikr mein

gujare wo jindgi kya hai 

Ab phir kahan wo aayenge kyonki wo koi

waada kare ke nahin gaye hain

Aaj ke din aur unn dino mein bahut fark

hai ab ham samajh gaye hain.