The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Saroj Ko Rakhna Khushi 

 

Haal mujh gamjade ka jis jis ne jab bhi

suna to ro diya hoga

Gham hi dikhlati hai kismat aage aage

dekhiye malaal kya hoga

Ummeed unse milne ki chhoot nahin sakti

unke dar pe jana hoga 

Aaj nahin toh kal is madhur milan ke liye

ham ko bhi jana hoga 

Ab kya batayen ki is chaman ke beech

kabhi apna bhi aashiyana tha 

Unke jaane ke baad sab kuchh kho gaya

lekin maine ummeed thana tha 

Isi ummeed par ab jee rahe hain laakhon

hausale aate hain aur chale jaaten hain 

Himmat rakh Lakhan duniya musafir

khana hai yahan log aate jaaten hain 

Gujarta hoon gali se main toh mere yaar

hans ke kahte hain aage ki fikr kar 

Kissa gaya, fisaad gaya ab aage chal apne

sab dukh dard bhula kar 

Dojakh ho ya jannat ho job hi hai wahi hai

ab tere nazar ke saamne 

Logon ko kya pata hai kayse pata ho jo

gujarti hai tere saamne 

Lakhan kisi ki baato pea mal mat kar wahi

kar jot era dil kahta hai 

Apne Saroj ko rakhna khushi chahe jahan

bhi unka aatma rahta hai.