The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAROJ MERI GULAB THI 

 

Mujhe kitni udaasi hui aur unke

bichhadne ki sadma bhi sataai hogi

Dil toot gaya aankhon mein aansoo bhi

aaye aur maathea pe pasina toh aayi

hogi

Mere inn sab dukh dard se kisi ko kya

lena job hi gayi wo meri gayi hogi

Jisne bhi dekha tha bilakhna hamea

unke bhi kaleje mein peeda toh huyi

hogi

Pyar jis din unse hua us din se mere

chaman mein phool khill gayi hogi

Jis din unki arthi uthi us din se ghar

ke sabhi roshni bujh gayi hogi

Unke gaye kitne din beet gaye lekin

unki madhur yaaden ab jaati nahin hai

Mere liye yeh kaysi saja hai iss ko

mujhe samjhana koi aasan baat nahin

hai

Yeh kamjor dil aur ghamon ke dher

phir thapede unke maut ki sata rahi

hain

Ab kayse jalawoon wo purani roshni

jisko pritam bujha kar chali gai hain

Is matam mein jab bhi unka khayaal

ata hai sari baaton ko bhool jata hoon

Kabhi mera bhi kaha maan jaaiye

sanam jo kaha tha tumne main maan

jata hoon

Aap hain jahan mujh ko bhi wahin

hona lajim hai yahi toh pyar ka dastoor

hai

Jab Saroj Lakhan ke bagiche ki gulab

thi toh Lakhan aaj bhi unhin mein

choor hai.