The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

TUJH KO KOI DAR NAHI HAI 

 

Ye kahne main unke majar par gaya, tere

bagayr karar na aaye to kya karoon

Unka jawaab mila ki ab tum bhi wahi karo

jo tumhare liye main karoon 

Sharer naashwaan tha jal gaya par ye

amar aatma parmatma ka ho gaya

Is se tumhara kya waasta hai fikr mat

karo, jo hona thaw o ho gaya

Insaan hoon insaan hi rahunga, farista

kayse banoo tumhari yaad toh aati rahegi

Marte dam tak tumhare madhur yaadon

ko liye chalunga aysea hi chalti rahegi 

Bahut hi pyar jataney kp baaki hai

aajaawo toh le loon balayen tumhari

Na jaana than a sochaa tha ki chale jaane

ke baad kewal bachegfi yaad tumhari 

Main ne apna sab khajana khoya kuchh na

mila, fayda na hua nuksaan mein

Is duniyan mein koi lutf karen ya jafa

karen yahi fitrat hai sab insaan mein

Lakhan kya karega yahan akele jab uski

bulbul udd gayi hai aasmaan mein

Jamaney se aysa hota aaya hai jaane wala

nahin lautata hai is sansaar mein

Chal tub hi udd ja re panchhi tera yeh

desh hua begana ab yahan kuchh nahin

hai

Santosham param sukham ko maan kar

aage badh ja tujh ko koi dar nahin hai