The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAROJ KE MOHABBAT

 

Unko main kis tarah bhulawoon yaad jo

mujh ko har waqt aate hain

Unse kayse chhipawoon koi bhi gham

apna jo saamney hi rahten hain

Gulshan ho ya bahaar ho jannat ho ya phir

dojakh mein hi sahi 

Chaahe jahan bhi tum chip gaye ho ham

tum ko khoj hi lenge wahi

Ab toh dil ko barbaad kar ke baytha hoon

koi khushi bhi nahin rahi

Mujh ko hi is viraaney me tadapna tha un

ka koi kusoor nahi

Ab yahi hai maayus jindgi meri aura b

hamara haal hi aysa hai 

Din din jindgi tabah hoti jati hai mera

malaal hi aysa hai 

Kisi shayar ne theek kaha hai, isq nahi

aasaan jo samajh mein aa jaaye

Kabhi wo aag ka dariya hai kabhi barf ka

tukda hai agar ham jaan jaaye 

Koi dukh aur sitam yaad nahin bas ab unki

wafa hi yaad rahti hai 

Lakhan ko ab Saroj ke mohabbat ke siwa

aur kuchh na yaad raheti hai.