The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

KHOON HAIN PAANI HAIN YA

AANSOO HAIN

 

Ham apne bebasi pe royen to kya karen dildaar

mera juda ho gaya

Hoti nahin hai subah na aati hai neend mujhko

main unko pukarta rah gaya 

Ab saari duniyan mein main akele baythe hain

na yahan koi na wahan koi hai 

Haay unko kho ke baythe hain ab na toh unka

saaya na tasveer koi hai 

Mere saare jeewan mein waqt kewal do hi gujre

thea bade kathin sanam

Ek tha aap kea ane se pahele aur ek hai tere

jaane ke baad sanam 

Is dil par saykadon chot tere bichhadne ke lagte

hain aur lagte rahenge

Ab na koi marham na patti dene wala hai magar

jeete hain jeete hi rahenge

Rub se dua hai kahin se koi sahara bhej de jo

mere liye dawa ban jaaye 

Yeh dil toh ab ek mareej hai jiska ilaaz kisi ke

mann ko nahi bhaaye 

Hazaar dukh dard chhipe hain is toote dil me un

sab ko kayse batayen Lakhan

Kahan se laawoon waysa jigar jo kar sake in

sabhi jakhmon ka sahan 

Mere dil pe job hi gujri hai uska peeda kewal

main hi pahchaanta hoon

Yeh chhalakte aansoo mere khoon hain ya paani

hain ab main inko bhi na pahchaanta hoon.