The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

HAM FANSE BEECH JANJAAL 

 

Aaj pandrah August hai aur main khwab dekha

jo mere khwab ki tabeer thi

Raat dhul chuki thi khamoshi ka aalam tha

aankhon mein unki tasbeer thi

Paas aake baythi thi hamari preyetam kuchh

baaten kahne ke liye taiyar thi 

Main bhi aatur tha unki aawaj sunney ke liye

tann mann sab taiyar thi 

Kambakhat aankhon ne dhokha de diya meri

yeh tamanna bhi na puri ho saki

Niraash rah gaya main apna kaleja thaam ke yeh

khwahish bhi na puri ho saki 

Main ne kah diya agar jaate ho to jaawo shaok

se main kuchh nahin kahta hoon

Jaate jaate tum ek nazar apne betaab dil ko

dekh lo main kah deta hoon

Abhi kal hi to kahte thea tum ki bistar se uttha

jaata nahin hai pritam

Ab kahan se is duniya se utth jaane ki takat

tumko aa gayi hai pritam 

Apna munh modd kar jaate ho jara dekh toh lo

apne diwaane ka haal 

Ab mar raha hai idhar koi aashiq jiski tabiyat ho

gayi hai behaal

Aaj ke bichhde kab milenge hamko nahin pata

ham toh fanse beech janjaal.