The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

AAKHRI NUKHSA

 

Araj karta hoon chale aawo hame tumse bahut

si baaten karni baaki hai 

Tum bhi kuchh kaho main bhi kuchh kahoon kat

jaayegi jindgi jo baki hai 

Tujhko galey laga ke main tumse sawaal karoo

tab sab malaal mitenge 

Pata lag jaayega kaun sa rang hai dil ka aur kaun

se dard mitenge 

Tumko talaash karte karte jab ho jaawunga

bechain, duniyan chhor dunga 

Tumhari khoj band kar ke phir koi patthar pe

apna sar patak dunga 

Jab main tumhare paas aajaawoon toh muskura

dena, haya se sar jhuka dena 

Agar yeh bhi nahin ho sakey tumse toh phir se

koi badi bijli gira dena 

Shaayad isi ka naam pyar hai Lakhan ek aag si

dhadhakti hai seene mein

Aanken fadak rahi hai, jeena tabah hai, lakhon

kisam ke sadme hai seene mein

Suna tha jindgi jindadilli ka naam hai murda dil

kya khaak jeete hain 

Lakhan ab toh sambhal ja tujhe hua kya hai

dekh aur log kayse jeete hain 

Apni khamoshi chhor de us se musibat aur bhi

sangeen hoti rahti hai

Yeh dil ki tadap chhor de tadapne se dil ki

bimaari badhti rahti hai.