The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Jeewan Ho Jayega Paani

 

Is bhari duniyan mein koi din suhaani hoti hai

koi din viraani lagti hai 

Kabhi laakhon khushiyan aati hain aur kabhi

takleefon ki pahaadh gir padti hai 

Apne jeewan mein hamne kitne pyar ke din

dekhe the apne sanam ke saath 

Khushiyon ka thikaana na tha, aman chain ka

mausam tha rahte the saath saath 

Magroor ho ke chal rahe thea par mit gaya ek

din wo chaman jis pe naaz tha 

Hamare pyar ka sab fasaana suhana tha, wo

meri raani thi main uska raja tha 

Par kaash ab sab bikhar gayi hamare pyar ke

dariya ab nahin hai koi rawaani

Lakhan ab do din ki teri yeh duniyan hai aur do

din ki hai teri jindgaani

Tere Saroj ka toh beda paar ho gaya aur tere

jigar ke liye hai hayraani 

Mit jayega Lakhan tub hi ek din tumhara bhi

jeewan ho jayega paani paani