Mere Dilwar Ki Duwaayen
Aaj kal inn dukh bhare raahon mein bhi yeh safar aasaan lagta hai
Jahir hai ki yeh sab mere bichdey dilwar ki duwaawon ka asar lagta
hai
Main ne jabse unko apne man mandir mein basaya tha safar
rangeen lagta tha
Unke hi kar kamalon sey aasmaano sey bhi ooncha yeh mera sar
lagta tha
Ek khush haal jahaan mein umar gujari thi wahin har kadam pe
unka saya lagta hai
Unke chale jaane ke baad ab unki tasveer laganey sey mera yeh
ghar ghar lagta hai
Unke chhatr chhaye mein toh Lakhan kaanton ko bhi seeney sey
laga leta tha
Lekin ab toh agar koi phool bhi deta hai toh usko chhoone se usko
dar lagta hai
Un dino kewal ek saks thi jo hamari har toote huye alfaaz ko samajh
jaati thi
Ruksat ho gayi hai meri mehbooba toh ab kisi ko meri baat bhi
samajh nahi aata hai
Kya karoon honi ke aagey ghutney tek kar dil mera ab rone lagta hai
Is sansaar mein sada din sey hota wahi hai jo bhagwaan chaahata
hai
Aaj kal mere inn viraan raahon mein bhi yeh safar aasaan lagta hai
Lakhan tu chalta chal jab tak tere Saroj ka duwa tere saath rahta hai