The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAJA NA DE BHAGWAN

 

Na jaane kaysi nazar lag gai hai mere pyaar ki jindgi ko

Ke phool murjha gay koi dekhta nahi mere aashiyane ko

Wo toh chal diye mere mehefil se mujko yahin chor ke

Unhi ke badaulat chalti thi meri jindgani badey shauk se

 

Jindey jee maar hi dala hai mujhe unki bewaqt judai ne

Apne manzil ko kayse pahunchoon bina unke saath ke

Kahan khojoon unko jo basi hain mere tann mann mein

Mil jaayen toh unko basa loon phir apne aankhon mein

 

Apne dildaar se milne ki tamanna hai ishwar se pahele

Ek baar bhi agar unko dekh loon maut aaney se pahele

Apne jeewan ke aakhari din sawaal karunga kudrat se

Tum ne kyon chheen liya hai mere dildaar ko  mujh se

 

Ay meri maut jara thaher ja unka intzaar toh kar lene de

Thodi jindgi aur de intzaar karne ka koi tareeka bataa de

Wada kiya hai usne milneka par aaney mein jara der hai

Lakhan ko saja na de bhagwan kyunki yeh buri baat hai.