Yeh Kahani Aaj Nahi
Mere dil ke kuchh choton ne hamko chain se rahne
na diya
Jab bhi chali purvi hawa main ne sirf unko hi yaad
kiya
Ayse ro ro ke kyun tumne apne dil ko barbaad kar
diya
Itne gam aate rahe tumne apne ko der mein azaad
kiya
Ham ko kiske gam ne barbaad kiya yeh kahani aaj
nahi phir kabhi
Hamare kushi dil ko kisne todd diya yeh kahani aaj
nahi phir kabhi
Hamare dil ke tootney ka sabab poochho na sab ke
saamne yaaro
Hamare jubaan par kahin phir na aa jaye naam
dildar ki yaaro
Dard aur judai ka teer kha kha kar sahene ki kahani
aaj nahi phir kabhi
Hamne kiskis ko pukara marham patti ke liye yeh
kahani aaj nahin phir kabhi
Kya bataawoon kayse katati hai jindgi maayusi ki
yeh kahani aaj nahi phir kabhi
Pyaar ke har baazi mein kaun haara kaun jeeta yeh
kahani aaj nahin phir kabhi
Din raat tadapte rahe aankhon se ashq nikalte rahe
yeh kahani aaj nahin phir kabhi
Peechhe jo choot gaya, aagey jo baki hai yeh bhi
kahani aaj nahin phir kabhi.