CHAMAN KHIL UTHEGI
Meri akkal toh chakra gayi hai is duniya ki haal
dekh kar
Koi chaahne wala chala jata hai hamko yahin pe
chor kar
Jab kisi ki madhur yaaden hamko sataati rahen aa
aa kar
Ayse akelepan mein main kidhar jaawoon iss dilko
le kar
Duniya ke sabhi yaar muskuraatey rahe mere is
haal par
Main jalata rahoon apne dukh dard ki shamma
yahin par
Lakhon gam ki lao seene mein thartharati rahe raat
bhar
Jab baansuri si surili aawaz aake jagaye hamko raat
bhar
Purani yaaden nayee ban ke aati rahen samney raat
bhar
Unki yaadon ke chaand tarey maddratey rahen raat
bhar
Diwaane ki tarah main phirta rahoon sab kuchh
haar kar
Yeh jina bhi koi jeena hai jab dildaar nahin rahi
ghar par
Koi toh mere ghar aangan mein diya jala jaye
phirse akar
Sab chaman khil uthegi mere duniya ki nayi haal
dekh kar.