![Free-eBooks.net](/resources/img/logo-nfe.png)
![All New Design](/resources/img/allnew.png)
Koi Chaaraa Nahin Hai
Ham dono ke darmeyaan dooriyan aysee bhi
hongi kabhi
Aysa to hamne sapne mein bhi sochaa nahin
tha kabhi
Jab won mere saamne rahete thea dil
bahelta raheta tha
Ab to unki tasveer hi hai lagta hai wo kabhi
mera nahin tha
Unki khushboo unki chamak phail jaati thi
mere sare aangan mein
Main unke kareeb rahta tha par ab wo rahti
hain mere dil mein
Main unko mahesoos karta tha aur pyar se
chhoo bhi saktaa tha
Unse justjoo hoti thi aur dil se dillagi bhi ho
jaaya karta tha
Ab jab bhi unki aahat aati hai to dil mein ek
sadma si aati hai
Dawd kar khojtaa unko ghar mein to wo
kahin nazar na aati hai
Iss tanhaai mein jab main unke aayina ke
paas jaata hoon
Aayina to mauzood raheta par usme unka
chehra nahin dekhta hoon
Pahele jab wo hansti thi to chaman mein
bahaar aajaati thi
Aaj jab main roya tab mere saath wo kyun
royee nahin thi
Dil mein dard itna uthta hai ki ab sahaa
nahin jaataa hai
Magar is dukh dard ki na to koi dawa hai na
hi wajah hai
Yeh sabhi viraaniyan unke judaai se hampe
ab chha gayi hain
Na din ko chain milta hai na raaton ko achhi
neend aati hain
Wo jab jab yaad aati hain to Lakhan ko badi
takleef hoti hai
Apne Saroj ko har dam yaad karne ke siwaa
koi chaaraa nahin hai.