Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

UNKI YAAD NAHI GAI HAI

 

Ham ko bahut gham de diya hai mohabbat ne toh haasil khushi nahin hoti

Shaam dhalti aur aasara ghatati toh ye dil ki duniya barbaad hoti

Wo mere nazar se door sahi magar in dino mere dil ke paas hi rahti hai

Ye kya khoob faasala bhi hai ki ab koi faasala bhi nahin rahti hai

Unko khabar ho na ho par mujhko toh barbaad kar diya hai un ka pyar

Barbaadiyon ka apna hame gham nahin hai lekin barbaad hai mera pyar

Ab won a aayenge toh ham bhi mar jaayenge baat rah jayegi din gujar jaayenge

Jinda hoon yahi samajh kar ki aage chal ke ek pyara chaman banayenge

Agar koi bhi baat mushkil thi mere liye toh isq ki baaji ko jeetna

Apne pyar ko jeetney ke khouf mein main bhool gaya unke dil ko jeetna

Na jaane kyon wo mere lahrate chaman ko pahele hi chhod kar chalte bhaye

Lakhan ghabra ke dekhta rah gaya jab unke praan pakheroo nikal gaye

Bagayr unke ab koi bhi din gujarta nahin yahan maatam chha gayi hai

Raat toh kat jaati hai kisi tarah lekin unki wo madhur yaad nahin gayi hai.