Yeh Kahani Aaj Nahi
Mere dil ke kuchh choton ne hamko chain se rahne na diya
Jab bhi chali purvi hawa main ne sirf unko hi yaad kiya
Ayse ro ro ke kyun tumne apne dil ko barbaad kar diya
Itne gam aate rahe tumne apne ko der mein azaad kiya
Ham ko kiske gam ne barbaad kiya yeh kahani aaj nahi phir kabhi
Hamare kushi dil ko kisne todd diya yeh kahani aaj nahi phir kabhi
Hamare dil ke tootney ka sabab poochho na sab ke saamne yaaro
Hamare jubaan par kahin phir na aa jaye naam dildar ki yaaro
Dard aur judai ka teer kha kha kar sahene ki kahani aaj nahi phir kabhi
Hamne kiskis ko pukara marham patti ke liye yeh kahani aaj nahin phir kabhi
Kya bataawoon kayse katati hai jindgi maayusi ki yeh kahani aaj nahi phir kabhi
Pyaar ke har baazi mein kaun haara kaun jeeta yeh kahani aaj nahin phir kabhi
Din raat tadapte rahe aankhon se ashq nikalte rahe yeh kahani aaj nahin phir kabhi
Peechhe jo choot gaya, aagey jo baki hai yeh bhi kahani aaj nahin phir kabhi.