CHAMAN KHIL UTHEGI
Meri akkal toh chakra gayi hai is duniya ki haal dekh kar
Koi chaahne wala chala jata hai hamko yahin pe chor kar
Jab kisi ki madhur yaaden hamko sataati rahen aa aa kar
Ayse akelepan mein main kidhar jaawoon iss dilko le kar
Duniya ke sabhi yaar muskuraatey rahe mere is haal par
Main jalata rahoon apne dukh dard ki shamma yahin par
Lakhon gam ki lao seene mein thartharati rahe raat bhar
Jab baansuri si surili aawaz aake jagaye hamko raat bhar
Purani yaaden nayee ban ke aati rahen samney raat bhar
Unki yaadon ke chaand tarey maddratey rahen raat bhar
Diwaane ki tarah main phirta rahoon sab kuchh haar kar
Yeh jina bhi koi jeena hai jab dildaar nahin rahi ghar par
Koi toh mere ghar aangan mein diya jala jaye phirse akar
Sab chaman khil uthegi mere duniya ki nayi haal dekh kar.