Angel of the Prasad Family by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Koi Chaaraa Nahin Hai

 

Ham dono ke darmeyaan dooriyan aysee bhi hongi kabhi

Aysa to hamne sapne mein bhi sochaa nahin tha kabhi

Jab won mere saamne rahete thea dil bahelta raheta tha

Ab to unki tasveer hi hai lagta hai wo kabhi mera nahin tha

Unki khushboo unki chamak phail jaati thi mere sare aangan mein

Main unke kareeb rahta tha par ab wo rahti hain mere dil mein 

Main unko mahesoos karta tha aur pyar se chhoo bhi saktaa tha

Unse justjoo hoti thi aur dil se dillagi bhi ho jaaya karta tha 

Ab jab bhi unki aahat aati hai to dil mein ek sadma si aati hai

Dawd kar khojtaa unko ghar mein to wo kahin nazar na aati hai

Iss tanhaai mein jab main unke aayina ke paas jaata hoon

Aayina to mauzood raheta par usme unka chehra nahin dekhta hoon  

Pahele jab wo hansti thi to chaman mein bahaar aajaati thi

Aaj jab main roya tab mere saath wo kyun royee nahin thi

Dil mein dard itna uthta hai ki ab sahaa nahin jaataa hai

Magar is dukh dard ki na to koi dawa hai na hi wajah hai

Yeh sabhi viraaniyan unke judaai se hampe ab chha gayi hain

Na din ko chain milta hai na raaton ko achhi neend aati hain

Wo jab jab yaad aati hain to Lakhan ko badi takleef hoti hai

Apne Saroj ko har dam yaad karne ke siwaa koi chaaraa nahin hai.

              img24.jpg

RONE  SEY KYA HOGA

Ab rone se nahin hasil kuchh ay dilea nawai

Aankho ki barbadi hai daman ki bhi ruswai

Ham dono samandar se bichade huye sahil hain

Us paar bhi tanhai hai is paar bhi tanhai

Hamare sabhi khwab toh ab toot gaye hain

Bikhare dil ke tokdon ko liye baythen hain

Tootey huye khwaabon ki chubhan kam nahin hoti

Ab ro ke bhi aankhon ki jalan kam nahin hoti

Honton sey piye chahe nigahon se churaayen

Jalim teri khushboo ke mahek kam nahin hoti

Milna hay to mil jaawo yahin jannat mein kya hai

Ek umr wada pura karne ke liye bas nahin hoti

Kitne bhi ghanere ho teri julf ke saaye

Ek raat mein sadiyon ki milan bas nahin hoti.

 

 

The Beginning of Romantic Life 1959

                                                               img25.png      img26.jpg

   EK HAWA KA JHONKHA

 

 

Jis surat par mera dil gaya us chehre sey aankh hatati nahin

Aysa tabhi hota hai jab pyar ho jata aur dil kho jata hai kahin

Ek hawa ka jhonkha tha jo aayaa par apni yaaden chor gaya

Yahi toh mera sab sey achha tohfaa tha jo ab kahin kho gaya

Aasmaan ki chamakti tara thi wo meri badi keemti kitab thi

Mere jine ka ek hi sahara thi wo aur mere liye meri gulab thi

Mere sapno ki rani thi aur phir ek khubsurat kahani bhi thi

Mujhko maloom hai wo kaun thi wahi toh meri jindgani thi

Bina uske jina dushwaar hai par jee toh lenge unke pyar mein

Hans khel kar khushiyan manane wale ab rote hain ghar mein

 

img15.jpg

Bichad jaane wale sey jake koi kah de jara ayse chale jaane sey kya fayeda

 

img27.jpg

Jab Mere Dilki Duniya Basaatey Nahin Toh Mere Khayaalon Mein Aaney Sey Kaya Fayeda.