Ab wo sunahra waqt nahin hai toh
kuchh puraaney yaad aayey
Wo suhaaney dour aur wo sukhi jeewan
phir abhut yaad aayey
Deewaaron pe aur kitaabon mein likhi
sabhi baaten yaad aayey
Unke madhur saath aur baat ke sabhi
sunhare chalan yaad aayey
Unka milna, unka pyaar aur unka sara
sanskar bahut yaad aayey
Bina neend ke din raat wo sundar
sapney dekhna bhi yaad aayey
Phir unka sirr mere kandhey par rakh
ke so jaana bhi yaad aayey
54 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Mera yeh kahna ki ‘subah ho gai hai
jaago meri jaan’ yaad aayey
Baarish ke bheegi raaton mein chipak
kar sona bahut yaad aayey
Bijliyon ki tadapney par unka mere
seene sey lagjana yaad aayey
Subhah kaam par jaatey waqt unka
alvida kahna bhi yaad aayey
Wapasi pe unka darwaje pe besabri sey
intjaar karna yaad aayey
Ab toh wo waqt gaya aur beet gaye wo
sab lamhe par yaad aayey
Unki sab haseen waaden, unki chehrey
ki wo chamak yaad aayey
Jaane ke baad bas ek hi manjar
aankhon ke saamne yaad aayey
Unka mujhe achaanak wayse chorke
jaana ab abhut yaad aaye.
55 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
After 15 months of passing away. 14