Ab Sahara Kaon Dega !
Hamarey is tootey huey jigar ko yahan
sahara kaon dega
Toofan mein kasti hai meri ab is ko
kinaara kaon dega
Na jaane kis modd pe la di hai mujhko
meri yah jindgani
Na jaane kyun adoori rah gayi hai mere
jeewan ki sab kahani
Jab unka saath tha to har raastey
pyaar sey bhare rahte thea
Jab unka haanth mere haanthon mein
tha tab ham mauj uddate thea
Par ab ham kaon raah pe chaley yahan
mujhe ishara kaon dega
Hamarey is tootey huey jigar ko yahan
sahara kaon dega
Main toh chal raha hoon yahan par
mere saath ab meri tanhaiyan hain
Mere takdeer ne dhokha diya mere raah
mein lakhon ruswaiyan hain
56 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Main ne pyaar kiya tha jeewan bhar
unke saath bitaney ke liye
Hamari sari jeewan bani thi kabhi
hansne aor kabhi rone ke liye
Unke madhur pyar sey bahut khush
thea par wo to rula ke chali gayi
Ab kisi sey kya sikwa karoon jab meri
jindgi hi bikhar gayi
Ab mere aansoo bhare aankhon ko
khushiyon ka nazaara kaon dega
Hamarey is tootey huey jigar ko yahan
sahara kaon dega
Hamne pyaar mein bahut kuch paya
tha par ab unhe kho diya
Phir wahi khushi dhoondhtey hain jab
unki judai ne rula diya
Mere gam ke haalaat mein jo bahtey
hain meri aankho sey aansoo
Jindgi mein pahle kabhi nahi bahaai thi
in aankhon ne yeh aansoo
Mujhe toh jayse ek saja mili hai unka
saath chorney ke liye
Yeh kahaan ka insaaf hai main tarasta
hoon unko milney ke liye
Ab kaon samjhega mera dukh dard aur
mera saath dega
57 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Hamarey is tootey huey jigar ko yahan
sahara kaon dega
Ghar bantey hain eent patthar lakdi
lohe sey yeh baat jaahir hai
Par aanshiyan banaayi jaati hai sirf
mohabbat sey yeh bhi jahir hai
Main pagal ho gaya ya mujhe pyaar ho
gaya tha ham ne yeh suna tha
Mere gawaar aur kathor dil ko mere
dilwar ne badal kar sawaara tha
Mere viran dil ki jameen sookhi padi thi
na jaane kitne muddaton sey
Banke ghataayen pyaar ki unho ne
barsat kiya apne tan mann sey
Ayse mohabbat ki shuroaat huyi kya
pata tha takdeer dhokha dega
Hamarey is tootey huey jigar ko yahan
sahara kaon dega
Unki madhur yaadon ko bhulaney ki
koshish sab bekaam hoti hai
Ab hamari sab pahchaan jamana mere
diwangi sehi jaan leti hai
Aysa lagta hai apne hi haanthon apne
takdeer ko mitaa raha hoon main
58 Dr Ram Lakhan Prasad
Love Is Fire Love Is Flame
Ab toh apne aapko apni hi dukh bahri
kahani suna raha hoon main
Ham roj akele mein miltey hain par
kuchh kahtey suntey nahi hain
Roj mere saamney unki tasveer meri
dhadkaney badhati rahti hain
Lakhan ke haalaaton pe hansna nahi
mujhe kya pata isq dhokha dega
Hamarey is tootey huey jigar ko yahan
ab sahara kaon dega.