Love Is Fire Love Is Flame by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Koi Shikaayat Nahi Hai

Mere bichade huye dildaar se na kabhi

shikayat thi na hai na hogi

Ham ko kisi gayr se koi mohabbat na

kabhi thi na hai na hogi

Mere dil ke aayene mein abhi bhi basi

hai unki hi surat

Kisi aur ki surat mere dil mein na

kabhi thi na hai na hogi

Unke sabhi wafaawon se mujh ko mil

gaya tha sab kuchh

Mujhe koi aur jannat ki aarju na kabhi

thi na hai na hogi

59 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Ab jab bhi unki tasveer ko apne seene

se lagata hoon main

Us mein se ab unke dil ki dhadkan ko

hi paata hoon main

Aaj mere kismat ne badi dukh ke din

dikh diya hai

Na jaane kitni baar mujhe unki madhur

yaad aayaa hai

Jinko main ne chaahaa tha jinko main

ne pooja tha

Kal tak jo mera apnaa tha aaj toh woh

payaaya hai

Sachhe pyaar ko ayse bhulaane mein

waqt toh lagta hai

Sabhi naye parindo ko udney mein

samay toh lagta hai

Ham ne apne dil ke jakham ki ilaaz

dhoondh toh lia hai

Lekin har gahre jakham ko bharne

mein waqt toh lagta hai

Aysi gaanth agar lag jaaye toh phir

rishte ho ya dori

Chaahe laakh karen koshish sulajhne

mein waqt lagta hai

Yeh Lakhan ki jism ki baat hai Saroj ke

paas tak jaana hai

60 Dr Ram Lakhan Prasad

Love Is Fire Love Is Flame

Par koi bhi lambi doori tay karne mein

waqt toh lagta hai.