Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SAB PAR HOTA YAHI

 

Unke praan pakheru udd gaye kisi ne na

dekha

Main dard mein tha is liye hamne bhi na

dekha

Hosh hota aur josh hota to praan pyaari ko

rok leta

Jo kabhi pahle kisi ne na ki wo shaayad main

kar leta 

Der ho gayi fer ho gayi us praan ko jaane ki

ber ho gayi 

Rukti kahan hai unki ghadi jin ki samay aa

gayi  

Aysa laga wo abhi hi aayi thi abhi hi chali gayi

Main poochhta raha rab se meri jaan kahan

gayi

Jindagi khill jaati jo rah lete do chaar pal hi

sahi

Kitna jaldi yeh jindagi dhalti hai sab par hota

yahi

 

@

 

Jab ham hi toot jaate hain to mere khwaab bhi

toot jaate hain

Aajkal na jaane kitne tukdon mein mere

armaan toot jaate hain

Is jigar ke har toote huye tukade ki khoj ab

karte rahte hain

Mere khwaab aur mere jigar ke saath sab

jasbaat bhi toote hain