Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

DER NA HO JAAYE MILNE

MEIN

 

Yahan andhera wahan andhera ab ruk jaata

hoon main is andhere mein

Abhi chalne ko hazaaro kadam hai par kayse

badhoon andhere mein

Peechhe muddoon ya aage badhoon saakaar

nahin hai mann mein

Wo hoti to raah dikhaati main chalta rahta

unke hi dhun mein

Pichhle sab sammohan swar ab ubhar ubhar

aate hain mann mein

Batur gaye the us pal sab jab ham rahe apne

pratham pyaar mein

Kintu ab yeh andhera khatak raha hai raah

na milta jeewan mein

Sab sahaara chhoot gaya ab atak gaya hoon

durlabh maarg mein 

Jaanaa hai unke paas to der na kar musafir

aage chalne mein

In andhere raahon ke us paar milenge kitni

roshni aalam mein

Ruko nahi, jhuko nahi himmat baandho apne

mann mein

Rukne se tere unke beech kahin der na ho

jaaye milne mein.  

 

 

@