Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

KAYSE SHIKAAYAT

KAROON

 

Bhaag raha hoon is duniya se jis din se unka

nidhan huwa

Thamte nahin pawn is dubidha mein bahut

dard huwa

Ab meri har yaatra bhatakne ki ek bahaana

ho gai hai

Na idhar na udhar rahe aur na hi ab kidhar

jaane ko hai

Subhah suraj kab nikalta hai kab doobe bas

shaam ho jaati hai

Jaan kahaan paate hain yahan din raat kayse

kat jaati hai

Bemisaal chinta sar pe hai ab is boojh ko

uthaana mushkil hai

Kahte hain log dhoop ke baad phir chhanh bhi

aajaati hai 

Apni to na subhah hai na shaam hai na dhoop

hai na chhanh hai

Har kadam par asubhidha hai na jaane

kahaan mera aaraam hai 

Socha tha ki unke saath yeh jeewan kategi

bade sukh chain se

Jo na socha tha wo ab ho gaya kayse main

shikayat karoon unse

 

@