Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

JINDAGI EK PAHELI BAN

GAYI HAI

 

Meri yeh jindagi sirf ek paheli ban ke rah gayi

hai

Hansne ka to naam nahi ab rone ko samay

kahan hai

Mann chaahe soye ya jaage sapno ke peeche

bhaagta hai

Yeh sapno ka raahi na jaane kahaan chalta

chala jaa raha hai 

Jis ne sajaaye the jeewan ke sunhare mele ab

wo hi nahi hai

Khaamoshi mein ham paagalon ki tarah unko

hi dhoondh rahe hai.

 

@

 

Wo mere zindagi ki haseen murat hai

Mere liye pyaar ki khaas jarurat hai

Kamal ya gulab sundar to hote hi hai

Lekin in sab se khoobsurat meri wo hai.

 

@

CHAAHE WO JAHAAN HO

 

Ay mere doston aaj ka din mere liye bahut

khaas hai

Aaj mere priyetam aur sajni ka 75th

 janam

diwas hai 

Mere siway koi nahin jaanta ki wo kitna

sundar thi

Unki sundarta dikhaawati nahin par wo andar

ki thi

 

Wo pyaari thi nyaari thi dil aur dimaag ki

bhaari thi

Badi meeti unki baaten thi unki bholi bhaali

surat thi

Aaj unke janam din ki sandesh bhejoon ya

dua karoon

Unki pooja karoon ya unke waapasi ka aasra

karoon

Wo jahaan bhi ho khus rahen aur khushiya

manaayen

Bhool ke kabhi jo hamse roothen to khud

maan jaayen

Janam din isi tarah har saal aaye jise ham

manaayen

Chaahe wo yahaan ho na ho ham khushi hi

manaayen.

 

@