Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

USKA DAMM NIKALTA

HAI

 

Aaj kal barsaat aati hai ghar aangan mein to

main pyaasa hi rahta hoon

Roj ek nayi aandhiyan aati hain lekin main

bachh ke likal jaata hoon

Jis ne meri sabhi neende churaai wo aaj aman

chain se so rahi hain

Har roj ke is kasmekash se ghabra kar meri to

jaan nikal rahi hain

Is aashiq ki hakeekat saamne thi par usko ab

pataa chalaa hai

Uski har khushi chali gayi aur pyaas ke maare

uska damm nikalta hai.

 

 

MAIN PAAGAL HUA TERE

LIYE

 

Wo jagah, wo raaste, wo ghar aur wo aangan

sab yaad hai mujhko

Yeh tujhe bhi bahut pasand the jahaan tu gale

lagaati thi mujhko

Aaj bhi main jab wahaan se gujarta hoon teri

yaad aati hai mujhko

Bas wahin ruk jaate hain mere kadam jab tu

pukarti hai mujhko

Bas bayth jaata hoon wahin likhtaa hoon apni

kavitaaye tere liye

Tu wahaan nahin milti par teri khusboo wahin

milti hai mere liye 

Ab tu kahegi yeh paagalpan hai to main maan

leta hoon tere liye

Isko paagalpan kahte hain to meri jaan main

paagal hua tere liye