Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

IS HAALAAT MEIN THODI

PI LETA HOON

 

Kabhi raaton ke un sannaaton mein kabhi din

ke wo ujaale mein

Kabhi mehfil ke bheed mein aur kabhi tanhaai

ke veeraane mein

Tujhko dhoondhtaa hoon par tu nahin milti

tera khayaal aata hai

Ghabraahat mein dil E naadaan aashiq tera

deedaar chaahata hai

Jab tujhe na dekh paati hain yeh nazre tera

tasveer kaam deta hai

Teri yaad mein yun to roj bahaate hain aansoo

aaj ye jaam pita hai

Kabhi tujh se mulaakaat ho na ho aaj tujhko

jee bhar ke dekh loon

Maanaa ki pina haraam hai lekin is haalaat

mein thodi pi leta hoon.

 

MAHSOOS HOTA HAI

 

Aaj kal tum bahut hi yaad aati ho mere dil ko

tadpaati ho

Tum hamare kareeb na rah kar mujhko bahut

sataati ho

Tab main tere aankhon ke samandar mein

utar jaataa hoon

Phir teri muskurahaton ke bhaunron mein

doob jaataa hoon

Ek sukoon si mil jaati hai jab teri aawaaz ko

sunn letaa hoon

Teri tasveer ko dekhta rahta to sab kuchh

bhhol jaataa hoon

Apne is jindagi mein kitna chaahaa hai tujhko

kya kahoon

Ab sirf teri yaaden rah gayi hai maaloom

nahin kya karoon

Bhulaa nahin sakta un sunahari yaadon ko jo

tadpaataa hai

Mere dil mein ek tees si uthati hai jis se bada

dard hota hai

Lekin meri jaanam jab raat aati hai to teri hi

yaad aati hai

Tere hi sab khwaab hote hain tujh se hi sab

baat hoti hai

Ab to mumkin nahin hai teri sabhi yaadon ko

bhula dena

Teri hi yaad mein jeena marna aur tujhe hi

sochte rahna 

 

Tujhe jab yaad karte hain to mere dil ko chain

milta hai

Yahi sab nazaaron se tera paas hona mahsoos

hota hai.