AAHAT MILEY TO MERA
BHALA HOGA
Unke jaane se pahele unse gidgidaa kar kai
baar kaha tha main ne,
Hamne tumko jara hatne ko kaha tha par yeh
duniya hi chhoR di tum ne.
Kuchh dino se tum kahte rahee ki ab bahut
door chalaa nahin jaata hai,
Is duniya se hi chal pade the to kaho yeh
takat kahan se aa jaata hai.
Munh modd kar chale gaye jara dekh kar
kuchh aakhari baaten kar lete,
Jinde jee yahin par marega tumhara dilgeer
bhi, yeh bhi to soch lete.
Ab kya jaane kab kahan aur kayse tumhara
deedaar hoga naseeb mujhe,
Ham to yahin phir rahen hain firaak mein
tumhare kyun chhoR gaye mujhe.
Intazaar ki ghadiyan chali ja rahi hai laut ke
aajaawogi to bada sukoon hoga,
Pal pal main tumhari rah dekhta hoon aapki
aahat miley to mera bhala hoga.
@