Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MUJHSE APNE

GHOONGHAT MEIN MILA

KARO

 

Aawo to jara aur lafzon ki tarha mujh se mere

kitaabon mein milaa karo,

Rasta bhool gayi ho ya mujhse dar hai to mere

khawabon mein mila karo.

Mere bagiche ke in phoolon ke khushboo ki

taluk zaruri hai abhi bhi mujhko,

Is liye ab unki mehak banke mujhse mere in

khilte gulabon mein mila karo.

Apne talaab ke paani ko chhu kar ab main

tumko mehsoos kar leta hoon,

Tumko yaad kar leta hoon aur kuchh bhoole

huye nagme sun leta hoon.

Ek do jaam pee leta hoon to tumhari bahut

yaad aati hai, 

Main bhi hoon ek insaan mujhko bahak jaane

ka bhi dar to rahta hai,

In pokharon mein masti ki tarha mujh ko

mere sharaabon mein mila karo.

Is liye jab bhi waapas aawo to mujhse apne

ghoonghat mein mila karo.

 

@

Meri aankhon ka ujaala thi tum sanam tum thi

meri jindagi,

Tumhara sahara mila tha to ham karte the teri

34ura b34.