Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

MAIN RAH GAYA DEKHTA

 

Ab yeh tajurba bhi karoonga aur yeh bhi

gham uthaawoonga main,

Ab tumko yaad to rakkhoonga par apne aapko

bhool jaawoonga main.

Chot teri judai ne diye aur dil ne jakham

khaaya hai tumhare hi liye, 

Ham yehi kahten hain ki yeh sab mujhe

tumhari judaai ne hi diye. 

Aap mere paas rahti to mere chaahat ka yeh

silsila chalta hi rahta, 

Kya karoon aap to chalti bani hamko chorke,

main rah gaya dekhta.

 

@

 

Kabhi lagta hai wo mujhe sataa rahi hai,

Kabhi lagta hai ki wo karib aa rahi hai,

Kuchh log hote hai ansuon ki tarah

Pata hi nahi lagta saath de rahe hain,

Ya hamko chhoR kar jaa rahe hain.

 

 

@