JHIL MILL SAPNEY
DEKHTA HOON
Ab khushiyan aur gham saheti hi rahti hain
magar yeh chupp rehti hai,
Tumhare jaane ke baad yeh kisi ne na jaana
meri yeh zindagi kya kehti hai.
Kabhi tumko kabhi apne ko kosti hai kabhi ro
deti to kabhi hansti bhi hai,
Aankhon se asq ki dariya kabhi to kabhi
khoone jigar ko bahaati rahti hai.
Apne tann mann se tumko chaaha tha apne
mann ki sada suntaa tha,
Tumhiko apna mann meet chuna tha tumhiko
apna maanaa tha.
Kuch bhi kahegi ab yeh duniya is duniya ki
aysi taysi karta hoon,
Apne palkon mein tumko sajaake jhil mil
sapnay dekhta hoon.
@
Pyaar unse kiya tha aur karte hain apne
zindagi se jyaadaa
Kabhi mujhko maut ki dar bhi na aayi unke
judaai se jyaadaa
Juda ho ke bhi unke saath hoon unka pyaar ho
gaya jyaadaa
Ab mere zindagi mein aur kuchh nahi unke
pyaar se jyaadaa.