Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

KHUSHIYAN ROTEE HAIN

 

Jo kho jatha hai zindigi mein apne paas rah

kar,

Shaayari mein unka naam nikal jataa hai

aksar.

Nikal aathe hai aaso haste haste unki yaad

mein,

Kahin se gham ki mehek ajaati hai khushee

mein.

Aaj phir ye naazuk dil wahin jaake ruk gaya

hai,

Wahi yaaden mere dil mein aaj zakham karthi

hai.

Ab to yahan akele hi rahne ki aadat si ho gayi

hai,

Ek wo bhi din tha par aaj ka haalaat kuchh

aur hai.

Ab hamko yahan aur jeene ki chaahat bhi

nahi hai,

Lekin jiye jaa rahen hain kisi ka aasara bhi

nahi hai.

Unke jaane ke baad sab bahaar bhi chali gayi

hai,

Ye din to raat jayse lagti hai aur raaten

tadpaati hai.

Ab to unke 72ura b gham sah lenge yahi

khushi hai,

Karenge na sikwa kisi se yahi unki bhi khushi

hai.

Kisi se ab kya kahoon ki wo mere liye ab kya

hain,

Jahan mujhpe hansta hai aur meri khushiyan

73ura hain.

 

@

 

Mohabbat ka yeh mera safar aakhari hai

Yeh kaagaz kalam yeh ghazal aakhari hai

Main phir na likunga yahi mera aakhari hai

Kyun ki mere tanhaai ka dard aakhari hai.

 

@

 

Wo mere kitaabon ke panno mein baar baar

aajaate hain,

Wo hamse bichhad gaye phirbhi yaadon mein

aajaate hain.

Unko bhoolna ab namumkin hi nahin par

mushkil lagta hai,

Jahaan bhi ham jaaten hain unka saaya

saamne rahta hai.

 

@