AB TERA HI INTAZAAR
HAI
Aa bhi jaa ab meri raat dhalne wali hai,
Tere sanam ki maiyat nikalne wali hai,
Akhri waqt hai akhri saans hai
mere jinadgi ki yeh shaam akhri hai,
Akhri waqt hai akhri saans hai
aakhri manjil hai yeh aakri pukaar hai.
Sangdil aa bhi jaa ab hamare liye
lab pe tera naam aaj aakhri hai,
Akhri waqt hai akhri saans hai aakhri manjil
hai aakhri pukaar hai.
Kuch to aasaan hoga mera safar
meri nazar tujhe dhoondhti hai,
Ab tu meri jaan aur der na kar
yeh mera payaam aakhri hai.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai
tauba hai kal se pukaarunga nahi,
Tere hi sahare jiyunga wahan tab tujhko
bhulaawunga nahi.
Meri tauba se pahle magar saathiya
sirf dekh le ek baar hamko,
Aakhri waqt hai aakhri saans hai
phir sab bhool jaayenge hamko,
Do ghadi bhi na beetegi ke log dafna denge
hamko,
Kisi ki fikar na hogi jab ham mil jaayenge
tumko.
Tere jaane ke baad waysi kadr meri kisi ne na
ki,
Jaysi tum ne kiya tha waysi kisi ne bhi na ki.
Yeh jinadgi bhi meri ab bewafa ho gayi hai,
Duniya walo ko mubarak ho ab ye duniya
meri nahi hai,
Kar chale hum bidaai aakhri aakhri ab tera hi
intazaar hai.
EK MUSAFIR HO GAYA
HOON
Ab ek musafir ho gaya hoon aur chale jaa
raha hoon,
Is safar mein suhane ghazalon ko sun raha
hoon.
Koi jab pata poochhta hai to itna bata deta
hoon,
Dil ka koi thikana nahin main chala jaa raha
hoon.
Tanhai mera jahaan hai ghazal mera daastan
hai,
Jo sunta hoon unme jaadoo hai aur asar bhi
hai,
Ab in ghazalon ke shabdh samajh mein aati
hai,
Jigar cheekhta hai kai purani yaaden aajaati
hai.
Na thakaan, na khalish hai ye pyaar ki
kashish hai,
Chale jaa raha hoon kyun ki yeh viraani dagar
hai,
Ab mujhko kisi se taluk nahin dil apne hi liye
hai.
Meri kahani sab ko pata hai tumko bhi
khabar hai,
Is kahani ka koi suruat aur koi ant nahi hai.
Ab ek musafir ho gaya hoon aur chale jaa
raha hoon,
Is safar mein suhane ghazalon ko sun raha
hoon.
@
Kisi ko chaand se aur kisi ko taaron se
mohabbat hain,
Hamko to unse pyaar tha jo hamhi se pyaar
karte hain.
Doori se kahan mitati hai pyaar yehi ham
kahte hain,
Mere jayse aashiq to khwabon bhi mein mila
karte hain.