Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

WAHI TERI PYAAR THI

 

Jeewan bada malaal hai par yeh dard gham

kis se kahoon?

Unke chale jaane ke baad ab koi hamnashi na

koi yaar hai.

Bas jo bhi bacha hai wo unki yaad hai ab

unko lekar rahoon,

Un dino har pal khushi ki thi par aaj mera

yaar kahin aur hai.

Mujhe yeh pata hota ki unka saath shirf pal

do pal ka hi hai,

To kuchh aysa jatan karta ki yeh saath jeewan

bhar ka hai.

Apne qismet pe kya rona jo ye judai ne qaidi

bana diya hai,

Na koi chaman hai yahan ab na jeewan koi

bahaar laati hai.

Is dard ke chakkar mein ab ranj o gham ke

melen firte hain,

Raaton ko neend nahin aati to mere din ki

chain kahan hain.

Unka pyaar ka bandhan ajeeb tha jo ab jurm

dhaa raha hai,

Mere badan ke har kone se ab unka hi

khumaar aa raha hai.

Kisi ko raham kahan aata hai jo aaj mera haal

ho gaya hai,

Bas main unki hi yaad mein jeeta rahoon jo

mera yaar hai.

Lakhan tera jeena unke liye hai yahi unki

aakhri chahat thi,

Aysa jee ki teri Saroj khush rahe kyunki wahi

teri pyaar thi.

 

@

 

Wo aankhe, wo baaten, wo yaaden, wo raaten

aur wo aadaten,

Wo chehra, wo soch vichar, wo chaahat aur wo

sab ibaadaten.

 

Main unko sochta hoon poojta hoon aur wahi

hain meri rahaten,

Kismet mein unko khona tha ab yeh jeewan

bitata hai rote rote. 

@

 

JEET AUR HAAR

 

Ajeeb hai yeh jindagi meri par ham chalte

jaate hain

Agar jeet bhi jaataa hoon to apne log peechhe

choot jaate hain

Agar haarta hoon to apne hi mera peechha

chhor dete hain.