Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

YEH BHI MAIN MAAN

LETA HOON

 

Dheere Dheere yeh hamari umar bhi beetati

jaati hai,

Lekin ye jindagi ab ek yaadon ki kitaab banti

jaati hai.

Kabhi unki yaad bahut sataati aur taddpaati

bhi hai,

Par kabhi to yaadon ke sahare hi ye jindagi

kat jaati hai.

 

Kuchh bhi sochta hoon to unka hi khayaal

aajaata hai,

Kuchh kahtaa hoon to unka naam jubaan pe

aajaata hai.

Jab apne dil ki baat bayaan karta hoon to

dard hota hai,

Kyun ki ab mere har saans mein unka ehsaas

aajaata hai.

 

Ab jab kabhi doobta hoon to samandar ko

dosh deta hoon,

Jab thokare khake girta hoon to patthar ko

dosh deta hoon.

Unke jaane ke baad main kaysa ajeeb insaan

ho gaya hoon,

Ab jab kuchh kar nahin paataa to qismet ko

dosh deta hoon.

 

Pyaar wo hamko bepanah kar gaye ab unki

yaad jaati nahin hai,

Par aysa tha to phir wo hamko is tarah tanha

kyun kar gayi hai?

Sab din se yeh chaahat thi ki unke ishq mein

fanaa ho jaawoon,

Par wo mujhe yeh karne ko mana kar gayi ab

main kya karoon?

 

Pal pal taraste the jis pal ke liye wo pal aaya

kuchh pal ke liye,

Socha tha ki us pal ko main rok hi loonga

yahan har pal ke liye.

Hua wahi jo pal ki baat thi wo pal na ruk saka

ek bhi pal ke liye,

Ab pal pal taraste rahate hain unke us pal ko

phir paane ke liye.

 

Ab hamara yeh foota qismet kuchh badlaa

nazar aataa hai,

Mujhko door door tak unki yaadon ka lakeer

nazar aataa hai.

Kya padhoon aur kya likhoon kuchh samajh

nahin aataa hai,

Ab to mujhe har kitaab mein unka hi tasveer

nazar aataa hai.

 

Ab kis hadd tak hamko jaana hai yeh main

nahin jaanta hoon,

Kis manjil ko hamko paana hai yeh bhi main

nahin jaanta hoon.

 

Jitna bhi jindagi bacha hai unki yaadon ko hi

le kar jeena hai,

Kis roj hamari saans bhi ruk jaaye is baat ko

kaun jaanta hai.

Doston ka kahna hai bhulaa do sab beete

huwe apne kal ko,

Apne dil mein basawo ab naye umang aur

aane waale kal ko.

Kahten hain ki hanso aur hansaawo chaahe jo

bhi wo pal ho,

Khushiyan leke aajaayengi tum bhool jaawoge

apne us kal ko.

 

Saath hamara pal bhar ka tha par us kal ke

tarah koi kal nahi,

Ho jaaye shayad phir milan hamara wo nahin

to unki yaad sahi.

Ab kuchh is tarah main ne apne is jindagi ko

aasra de diya hai,

Unse maafi maang li hai aur apne aap ko bhi

maaf kar diya hai.

 

Wo chahe door ho ya paas ho lekin apne dil se

dua karte hain ham,

Yeh mera pyar ka farz hai jo ab ghar bayth kar

ada karte hain ham.

Unki madhur yaad ab saath rakhte hain unko

pyar karte hain ham,

Chahe khushi ho ya gham sah lenge, unko hi

yaad karte hain ham.

 

Apne toote dil ke sabhi aawaazon ko

khaamosh karta rahta hoon,

Dil tadapta hai nigahen intzar karti hain unko

bhi manaa leta hoon.

Sirf paane ka naam ishq nahi aysa main logon

se suna karta hoon,

Kuchh khone ko bhi to duniya pyar kaheti hai

yeh maan leta hoon.

 

@

 

 

Jis din wo is duniyan se gaye ham to ham yeh

sara aalam bahut roya tha,

 

Aakhir yeh aansoo rukte kayse hamne apna

sab se pyaara sitara khoya tha.

 

AAJAAWO

 

Chhattees maheeno se in jaagi aankhon ko ek

baar sulaane aajaawo

Manta hoon ki ab tumko meri koi fikar nahin to

naf rat hi jataane aajaawo

Jis mod par hamko chor gaye the ham yahin

baythe ab tak soch rahe hain

Koun si bhool huyi thi hamse kyun juda huye

bas yahi samjhaane aajaawo.