Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

BEETE DINO KI YAAD

DILAATE HAIN

 

Main jab bhi tanhai mein hota hoon wo

chupke se aajaate hain,

Aankhon mein mere jhaank kar beete dino ki

yaad dilaate hain.

Unhi hawaa ke jhonkon ke saath wo aaate aur

chale jaate hain,

Aankhon mein dhuwaan chha jaata hai

chaman khill padte hain.

 

Mud mud ke unka dekhna mere purane

yaadon ko jagaate hain,

Ek aur jhalak paane ke liye meri nazren taras

kar rah jaati hain.

Garmi ho, barsaat ho, ya shardi ki raaten ho

wo aati rahti hain,

Baaten hoti khwabon mein, in pahron mein

dill khush hoti hain.

Hans hans ke kavita likhta hoon khud padh

kar kush hota hoon,

Aisi sadmon ke toofaano mein apne jazbaat ki

kasti kheta hoon.

Wo kayse hain aur kahan hain iska to kuchh

pata chal jaata hai,

Wo kuchh kahen ya na kahen mera dill unko

sadaayen detaa hai.

 

Aysi hi chhupa chhupi ham khelte rahte hain,

Isi liye unke sumadhur yaadon mein khoye

rahte hain.

Main jab bhi tanhai mein hota hoon wo

chupke se aajaate hain,

Aankhon mein mere jhaank kar beete dino ki

yaad dilaate hain.

 

KOI CHAARA NAHIN HAI

 

Na udaawo mere pyaar ko thokron se,

Yahi to meri antim nishaani bachi hai.

Badi dukh hogi isko khak mein udane se,

Is dil ki armaan ab yahi ek rah gayi hai.

Ye socha na tha ki faasale aise bhi honge,

Wo saamne hi baythegi par meri na honge.

Wo jo khushboo ke tarah rag rag mein tha,

Aaj kahan hai jise kal mahsus karta tha.

Raat din ek aawaaz kaano mein aati hai,

Jhaank kar dekhta hoon to koi nahi hota hai.

Unko yaad karke aur bhi takleef hoti hai,

Bhool jaane ke siwa koi chaara nahin hai.

Unko bhool jaawoon yeh to hota nahin hai,

Apne aap ko yaad rakhoon ye bhi manjoor

nahin hai.

 

@