Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Tanhaaiyon se Mohabbat

 

Mere intazaar ki ghadiyan ab khatam ho gai

hai,

Ab hamko akele rahne ki aadat si ho gai hai.

Ab ham nahin karenge kabhi koi shikaayat un

se kyunki,

Ab mujhe meri sabhi tanhaayiyon se 

mohabbat ho gai hai.

 

Jannat Se Mere Liye

Dua to Le Awoo

 

Kai baar kaha aur fir kahten hain, ek baar to

chale aawo,

Chahe phir aake chale jaana par wo surat to

dikha jaawo.

 

Kitne tarah se pukaroon ab koi geet ya

sangeet sunawoon,

Tum kuchh apni kaho kuchh tumko main bhi

sunawoon.

 

Yahi to pyaar ke dastoor hain bas ek baar to

chale aawo,

Phir jo kabhi bulaawoon to khushi tum aawo

ya na aawo.

 

Dil mein tamanna hai kis baat pe roothe ho ye

bataa jaawo,

Kya dil ke tadapne ka ehsaas tumko nahin ye

bataa jaawo.

 

Lakhan ke jigar par bahut chot lage hain dawa

laga jaawo,

Dawa na sahi par apne jannat se mere liye

dua to le aawo.

 

@

Maanta hoon ki ek din ham phir se

muskurayenge,

Ham hasenge saath saath ji bhar ke

muskurayenge.

Kitni dilkash ho gayi hamari tanhaai aur

khaamoshi,

Jab muskurana nahi aata lagti hain sab

baaten fizool jaisi.

 

 img12.png