Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Swarg Mein Pati Patni

Ka Samwaad

 

Praan priye main teri Saroj hoon

Swarg mein main ab rahti hoon

Yeh hamaara punar milan hai

Bichhade huye dil mil gaye hai

Tumse fir mil kar khushi huyi

Mere saburi ki majuri puri huyi

Aa gaye ho tumhaara intzaar tha

Pata hai ki dil kitna bekarar tha

Jab mera baalam yahan nahin tha

Mere saath kya kya ho raha tha

Aankhen band karke main so rahi thi

Log kahten hain ki main ro rahi thi

Unko kayse samjhawoon main

Ki ro kahan rahi thi main

Wo to mere andar ka sailaab tha

Jo uthal puthal kar bah raha tha

Duniyan ko to yeh pata hoga

Nidhan ke baad laas na rota hoga

In aansoo mein tasveer hai aapki

Ro deti to kho deti tasveer aapki

Mere pritam aap bolte kyun nahin

Mere asqon ko ponchhte kyun nahin

***

Mujhe to ajeeb ghabrahat ho rahi hai

Yeh dimag shayad sapna dekh raha hai

Pata hai jab tum yahan chali aayi thi

Log bole jo chale jaate wo lautate nahi

Tu lautegi yeh mujhko yakeen thi

Tu mera pyaar thi aur jajbaat marte nahi

Yeh hakeekat ho ya fir ek sapna hi sahi

Ham aakhir mil to gaye kahi na kahi

Main ne tujh se dil hi tha maanga

Par tu ne to apna jaan hi de diya

Main aagaya hoon tere paas jaana

Sab apna pyar aur dulaar ko liye.

 

 img13.png