Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

DARD KA MARHAM

KHOJ LIYA HAI

 

Mere liye yeh duniya ab ek ajnabi jagah ban

gayi hai

Mukaam ajnabi hai jahaan ajnabi hai raaste

ajnabi hai

Hamaari tanhaai khatakti rahti hai par ham

muskurate rahte hai

Lambi safar pe hoon par yeh safar chalti hi

rahti hai

Kuchh beeti kahaani bhool gaye hain kuchh

ab yaad hi nahi hai

Koi raaste chaman rahte hain to kuchh bade

udaas lagte hai

Wo bahut yaad aate hain ham abhi bhi unki

talaash mein hain

Main chalta rahunga inhi raaston par jab tak

wo milti nahin hain

Kabhi josh aati hai kabhi main apna hosh kho

deta hoon

Kabhi thak jaata hoon sabhi baaton ko ansuni

kar deta hoon

Hamaare yaadon ke bhatke huye kaarwaan dil

ko jalaate hain

Soonsaan raaton mein aa aake darwaaje ko

khatkhataate hain

Jindgi jahar ban gayi inko khaate rahe aur

peete bhi rahe

Inka kuchh asar na hua roj marte rahe roj

jeete bhi rahe 

Ab yahi to meri jindgi hai main usi se pyaar

karta hoon

Wo mujhe aajmaati rahti hai aur main usko

aajmaata hoon

Toofaan bhi aati hai par samay aaraam se bhi

kat jaata hai 

In shakt haalaaton mein unki sab dua hi

kaam aataa hai 

Sab kuchh ho gaya par na gira hai mera

junoon e wafa

Sau baar janam lekar ham apne jindgi ko

karenge jafaa

Apne bache dino mein ab chiraag e tamanna

jalaate rahenge

Chaahe kuchh bhi ho apne jindgi ke aag ko

bujhaate rahenge

Ghayal to pahle se tha par ab aur bhi jakham

paa liya hai 

Ab jeena seekh liya hai apne dard ka marham

bhi khoj liya hai.

 

@

Aaj tak hamne apne hi logon ke baare mein koi

faysala nahi kar paaya

Ki un sab ki kismet buri thi ya phir main unko

dehkne mein bura laga

Jindagi bhar main sab ka bhala karta gaya par

apna koi bhi nahi milaa

Koshish bahut ki ki kisi ko apna bana loon

lekin koi waysa nahi milaa