Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

AAJ PHIR UNKI YAAD

AAGAYI

Aaj phir na jaane kyun aagayi unki yaad

Yeh june ka mahina karta hai fariyaad

Phir sureeli aawaaz wahi

Phir mohini surat wahi

Phir sharmile nayan wahi

Phir niraale chaal wahi

Phir mera behaal wahi

Aaj phir na jaane kyun aagayi unki yaad

Yeh june ka mahina karta hai fariyaad

 

Main so raha tha to jagaaya kyun mujhko

Madhur sapne mein tha kyun chedda mujhko

Phir wahi madhur sapne dikhawo

Phir waysi hi neend mein sulaawo

Phir wahi haalaat ko le awo

Phir unse meri baat karaawo

Phir unko mere paas bulaawo

Aaj phir na jaane kyun aagayi unki yaad

Yeh june ka mahina karta hai fariyaad

 

Yaadon mein aaye unko jugo ke rakhta hoon

Jo baat karta hoon unko yaad rakhta hoon

Phir unko apne paas bulata hoon

Phir unse baat karta hoon

Phir unse pyaar karta hoon

Phir unko dulaar karta hoon

Phir unko gale lagata hoon

 

Aaj phir na jaane kyun aagayi unki yaad

Yeh june ka mahina karta hai fariyaad

 

Aaj main sowunga unke tasveer ke saath

Wo aaye to mera takiya hoga unka haath

Phir to neend maje ki aayegi

Phir unki yaad nahi satayegi

Phir main jeena chahunga

Phir main khushi ho jaunga

Phir  jeewan roshan ho jayegi

Aaj phir na jaane kyun aagayi unki yaad

Yeh june ka mahina karta hai fariyaad

 

Main so jaawoon to unki tasveer hata dena

Shor na machaana aur hamko nahi jagana

Phir kabhi na jagaana

Phir mere sapne na todna

Phir hamko saath rakhna

Phir hamko juda na karna

Phir ek diya jalaa dena

Aaj phir na jaane kyun aagayi unki yaad

Yeh june ka mahina karta hai fariyaad.

 

@

 

Aaj kal unki judaai bhi hamko pyaar karti hai

Unki madhur yaaden hamko bekaraar karti hai

Jo lamhe saath gujre the aankhe talaash karti

hai

Chalte hain tanha ab kuchh nahi yaadon ke

siwa hai.