JEENA KATHIN HAI
Ab wo muskurate khilte phool kahaan
unko to aagaya hai murjhana
Ab wo bagiche ke raunak nahi deep hain
jinko aa gaya hai bujh janaa
Ab wo aakaas ke baadal hain
jin mein warsha ki chah nahin
Ab wo umad ghumad ke udte nahi
jin mein chalne ki chah nahin
Ab wo taara nahi aur chand nahin
jinko chamakne ki chah nahin
Ab wo nayan sooje sooje hain
jin mein ab aansoo bhi nahin
Ab unka wo tej nahin unka wo bhes nahin
koi aas nahin koi lagan nahin
Khushi chali gayi, ab rote bhi hain
to aankhon mein koi asQ nahin
Aysa unka haal hai na koi apna hai
na hi ab koi paraya hai
Unke jeewan mein vedna bhari hai
jayse kismet ka wo mara hai
Umar bhi ab dhal gayi hai
aur parlok jaane ki taiyaari hai
Ab Lakhan ka jeena kathin hai
marne ka unko adhikaar nahin.
@