Tanhaai - An Accolade and a Homage to Saroj by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

JO ACHCHA HO SAB KE

LIYE

 

Ham dete rahe hain hansi yahan saare

jamaane ke liye

Ham aysa karte rahe apni muh chhipane

 ke liye

Apna jakham na dikhawo logo ko namak

chhidkane ke liye

Koi bhi na paas aayega tumko marham patti

ke liye

Kisi ki tarakki dekh ke maine koi khushi

nahin kiye

Sachh hai log mauka dekhte hain kaat khaane

ke liye

Jab hamko mila pyaar muft mein sammaan ke

liye 

Jaane kyun main nahin taiyyar hua wo sab

lene ke liye

Ham ne bahut gham uthaaye hain apne jeene

ke liye

Hamko kuchh samay hi na mila muskuraane

ke liye

Na ham jeete koi philosophy ya maksad ke liye

Payda ho jaate hain yahan halla gulla karne

ke liye

Mujhko yeh jindagi mili thi janta ke sewa ke

liye

Hamne isko barbaad kar diya apne swarath ke

liye 

Yeh sansaar kya dega tumko tere yaha aane

ke liye

Tere paas to wo haath hi nahi hai kuchh lene

ke liye

Jab chalaa jaayega tu yaha se bina khaas

kuchh kiye

Sara samaaj tujh pe hasega teri bewafaai ke

liye 

Abhi bhi samay hai Lakhan sambhal ja apne

hi liye

Aakhir aysa kuchh kar de jo achcha ho sab ke

liye. 

 

 @

 

Mere jubaan kah nahi sakte yeh af saana dil ki

Ham to aadi ho gaye the ankhon se baat karne

ki

Ab wo saamne nahin to aankh kayse

milaawoon

Kis ummeed se ab himmat karoo baate karne

ki

Intzaar karoon ki apne afaane ko bhool jawoon

Shaayad sapno mein ho jaaye inaayat

mulakaat ki

 

@