The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Mohabbat Ki Kamaal

 

Mere jigar mein jo dard gham hai unki ek

lambi kahani hai

Dar asal baat yeh hai ki unki yaadon ne

mujhe barbaad kiya

Unke dil ko mere dil se koi lagao kyun na

honi hai

Mujhe jab bhi jyaada gham hota hai main ne

unko yaad kiya

Mujhe yeh gham nahi ki ham se sara jamana

haanth chudda le

Par unka saath aur hanth jo choot gaya uska

kya kare

Log jab sunte hain kissey Lakhan aur Saroj

ke pyaar ke

Unko yaad aaten  hain wo purane kisse shri

aur farhaad ke

Yeh dilbari yeh naaz aur yeh andaaz hamari

jamaal hai

Is jahaan mein ham dono ki paak mohabbat

ki ye kamaal hai.

 

 

Meri Duniya Ujadh Gai

 

Dukh takleef mein kab koi kisi ka yahan

saath deta hai

Andhere raat mein toh apna saya bhi ham

se juda rahta hai

Maut ko ek din aakhir aanaa hi hai usey aa

jaane do

Agar aaj is virah ke samay aajaati toh bahut

achhaa ho

Unko bhool na pata hoon ab main kya

karoon aur kahan jawoon

Aaina saamney rakhta hoon ki din raat

unko dekhta rahoon

Hoti nahin hai subah aur nahin aati hai ab

neend mujh ko

Pukarta hoon tab unko jab koi aawaz na

milta hai mujh ko

Yeh kayse kahoon parwar digaar se ki ab

unko lauta de

Main jeeta rahunga agar wo jhuthi tasalli

bhi de de

Hamare jayse ashiq ki raaten nahin katati

hain is tanhai mein

 

Do chaar ghadi ro lete hain koi baaten na

hoti tanhai mein

Apne dil ke viraane ka kya aur kayse jikr

karoo

Meri duniyan hi ujadh ke lut gai ab main

jeewoon ya maroo.

 

img7.png

 

Tumko Toh Yahi Jidd Hai Tumko Bhula Doon Magar

Dil Sey Tumhari Yaad Na Jaaye Toh Kya Karoon.