The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

WHY WORRY

 

Yahan tadapta kyon hai Lakhan ab koi kamaal

payda kar de

Jahan jahan tere asq girte ho wahan gulzar

payda kar de 

Kyon rota hai gidgidata hai apne bichade sanam

ke liye 

Wo sabhi kisse jhoothe hain unki jo ek baar mar

ke jiye 

Mera gham hai ya unka intzaar hai iska khud

nahin pata

Dil to ab unke liye bekarar rahta, yahi hai meri

khata 

Lagana na dil phir kisi se Lakhan tootne se dard

hota hai 

Mohabbat aysi hi bala ko kahte hain pyaar mein

aysa hi hota hai

 Unka pata kisse poochhe jab meri manjil ka

pata nahin 

Kab tak ek musafir ki tarah bhatakte rahenge

ham yahin 

Aankhon hi aankhon mein wo kya kah gaye ab

wo sab yaad aata hai

Apni hi khabar nahin tumko, bekaar unko yaad

karta hai.