The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

SEARCH FOR MY CHULBULI

CHIDIYA 

 

Hamne kabhi na socha, na samjha tha ki ek din

aysa bhi aayega 

Jab mujhe hansne ko log kahenge toh mujh ko

bas rona aajayega 

Ab jab mera bas chale toh main khud ko khud se

chhupa kar rah loon

Ajeeb yeh jeewan hai aytwaar apna karoon ya

phir unka kar loon

Na main khush na wo khush yahan kaon hai

mere niraas jindgi se khush 

Magar ab kahan hai fursat mujhe sar utha ke

chalna aur rahna khush 

Ham yeh jaante thea ki ek roj meri jaan ko jaana

toh jarur tha 

Phir kyun ab bilakh rahe hain jab apne pyar par

itna gurur tha 

Is duniya ki tarakki yahan ki rahen sahen bade

ajeeb lagte hain 

Insaan ke kabje mein sab kuchh hai toh unke

dilwar kyun bichhadte hain

Pyaar ke ghazal main ne cheddi thi unko jeewan

mein mera saath dena tha 

 

Jab madhur sangeet ki lutf aane lagi kya tabhi

unko jana tha 

Kudrat ne Lakhan ko nakamil kar diya uska dil

nikaal ke 

Saroj jeeti rahti tab kuchh sukoon to deti apne

sewa nihaal se 

Ab na rahi hai baans aur na bajegi baansuri yeh

ghar aagan udhas hai 

Udd kar chali gai hai wo chulbuli chidiya ab uska

talaas hai. 

 

img8.png

My Beloved Saroj would have turned 74 on 15th August 2014