The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Dil Ka Dard Kis Ko Dikhawoon 

 

Ab dard dil kuchh kaha nahin jata aur chup

bhi raha nahin jata

Yahi jeena bhi kya kam saja hai un ka

sadma saha nahin jata 

Mere chehre ke dukhi haal ko dekh ke dard

ka andaaz laga lo yaro 

Unke bichhad jane ke gham ko sahan karna

bahut kathin hai yaro 

Chal rahe thea isq ke rahon par ham lakhon

dil mein tamanna liye huye

Unka saath chhoota toh aysa laga ki chalte

hain badi bojh liye huye 

Ham kisi se bhi chhupa na sake apne

hasrate didaar ka sab raaz 

Mere chhalakte aankhon ko dekh kar log

pehchan gaye mere sab raaz

Is dil par giri hain na jaane kitni bijliyan jara

gaur se dekho 

Hamare aansuwon ke kadar keemat un

chamakte huye sitaron se puchho  

Daag toh saykadon hain Lakhan ke dil par

koi charcha ke layak nahin hai 

Saroj hoti toh in daagon ko dikhati ab uski

jarurat nahin hai.