The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Jannat Mein Tera Sammaan Ho 

 

Tum mujh ko apne jannat mein na bulawo

toh koi baat nahin hai

Main khud hi chala aawunga tum se milne

gar koi gila nahin hai

Is chaman mein ab tufaan chalti hai

bijliyan girti rahti hain

Yahan koi sukoon nahin hai tumhare bina

sab soonsaan lagti hai

Main ne tumhare khoj mein na jane kitne

baar jiya aur mar gaya

Akele tadapne mein koi lutf nahin phir bhi

main tadapta rah gaya

Dil karta hai ki khat likhoon khoon jigar se

par badi laachaari hai

Agar tumhara jawaab aajaaye toh wo bhi

hamari ek bimaari hai

Kayse padhunga tumhare prem patra

kayse sahunga tumhare dil ki lagan

Mumkin hai kuchh sukoon mil jaye ho

jaaye aabaad yeh chaman

 

Lakhan ab kar le koi aysi jatan ki tere isq

ka maan ho

Tumhari Saroj bhi rahe khush un ke jannat

mein tera sammaan ho.

 

Tumbin kahin karar na aaye to kya karoon

img9.png

Har pal tumhari yaad sataye to kya karoon