The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Himmat Na Harega Lakhan

 

Main kayse bhool sakta hoon un ke

rukhsat ke wo manhoos waqt ko

Jis se mere jindgi mein ek tufaan aaya aur

udda le gaya ham ko 

Us din se roj jeeta hoon aur roj marta

hoon unki rah dekhta hoon

Aysi mushkil mein main jeeta hoon ab na

aage badhta hoon na peechhe jaata hoon

Wo ab mukhatib bhi hain kareeb bhi hain

lekin koi baaten nahin hoti hai

Unko dekhe phir unse baaten karen par

ham se yeh bhi na hoti hai

Har roj koi afsaana chhedta hoon jab bhi

tanhai ki gham satati hai

Na din dhalta hai na raat katati hai jab

judai ki sadma satati hai

Yeh dil bechara ab kisi se bhi apna mann

bahala nahin sakta hai

Jab chaand nikalta hai aur sitare

timtimatey hain mann nahin lagta hai 

Un dino ki madhur yaad le kar jee rahe

hain himmat na harega Lakhan

Khak mein mil kar bhi apne Saroj ko hi

yaad karta rahega Lakhan.