Tera Kaleja Kharoch De
Mujhe akela dekh kea aye log ghar mere,
baythe bhi sahanubhooti bhi diya
Lekin kisi ne mol na poochha mere toote
huye dil ka wapas chal diya
Is jamane mein kaun kisi ka saath deta hai
sab ki toh apni dhun hai
Toota hua pyaala ko koi khareed kar kya
karta us mein kaun gunn hai
Abhi tak toh bijliyon ka asar kewal tera
aashiyan ujjaadaa hai
Kuchh der sabar kar Lakhan ye gham ke
tufaan kitnon ka dil todda hai
Teri jindgi tamanna mein, ummeed mein,
khushi mein aur mauj mein gujri hai
Aage aage dekhta ja teri udhasi aur gham
tere aalam ke saathi hai
Tu sunnana chahta hai sab ko apne gham
ke kissa par kaun sunega
Kahte kahte teri aankh bhar aayegi par
jamane ko is se kya hoyega
Apni bigadti durdasha ko dekh kar apni
jindgi sambhal le diwaane
Ab naye naye dhun ke ghazal gaata chal
apne ye bache jeewan mein diwane
Chhedh de kuchh aysi taan jo tere tann
mann ko khoob hila ke jhakjhor de
Tab milega silsila dil ka dil se yun ki tera
kaleja kharoch de