The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Mar Ke Bhi Jinda Rahte Hain 

 

Ham liptey rahe unse jinko is duniya se ab

koi kaam nahin tha

Saiyam laakh tha niyam hazar thea phir

bhi mera nazar unke taraf tha

Ghar mera koi mandir toh nahin lekin

mala liye unka intzar hai

Hamne ro ro ke kitne raat kaati hai

aankhon mein ab nahin nikhar hai

Meri halat ko dekh ke mere jakhmon ko

pahechaan gaye hain mere log sab

Jo bhi mujhe dekhta hai mere pyar ko

samajh kar mujhe karta hai adab 

Ham jayse muflison ki jindgi ka jikr kya

karen aur kyon karen ab

Jo chala gaya usko bhool ja par ye toh

bata de ham yeh kayse karen ab 

Puri khushi na paa sake the ham abhi ki

unke pyar ka daman chhoot gaya

Ajal yeh kahti rahi kya karoge tum jab

unka saath hi chhoot gaya 

Jab wo chale kabristan ki or toh mudd ke

bhi na dekha apne ghar ko

Ayse kyon rooth gayi wo ki uske Lakhan

na mana sake apne Saroj ko 

Jara thahar jawo dilwar janaza liye ham

apne dil kea a rahe hain

Jo mita dete hain khud ko jeete ji yaha wo

mar kar bhi jinda rahte hain